"Gazal" jiske ahsaas abhi abhi dil mein aaye haiN

Friday, November 6, 2009

socha na tha yoon tumse mohabat hogi,
tu jo apna le to poori har hasrat hogi,

har su dekhuN tuje yahan nazar jaye,
es se badkar aur bhala kya jannat hogi,

nahi jaroorat ab kisi bhi khuda ki muje,
tujhe chahna hi ab meri iabadat hogi,

aaye akhiri hichkii teri baaho.n meiN,
Sajan, yehi meri akhiri chaahat hogi,

ho jauN badnaam main tere naam se,
yeh sabse badi 'Sunita' ki shohrat hogi.

"Tumse hi Pyar karte hai"

Saturday, May 2, 2009

Chahe shikwe hazaar karte haiN,
phir bhi tumse hi pyar karte haiN,

dil kya cheez hai tere ishq mein,
hum jaan bhi nisaar karte haiN,

koi aur nazara nazar nahi aata,
har-su tera didaar karte haiN,

wada hai tera tu aayega ek roz,
palkeN bichaye intzaar karte haiN,

'Sunita' ne chaha hai tuje dil se,
bhari bazm mein iqraar karte haiN.

"EnsaaN se HaiwaaN"

Sunday, January 4, 2009

Insaan se haiwaan ab ban gaya hai aadmi,
berahmi se aadmi ko maar raha hai aadmi.

ghar se nikalna bhi ab mushkil lagta hai,
har pal darr ke saye mein ji raha hai aadmi.

hindu bhi kush hai aur muslmaan bhi kush,
choraho.n par roz qtal ho raha hai aadmi.

mandir aur maszid mein bhagwaan khamosh hai,
aaj ke daur mein khud bhagwaan hai aadmi.

begunaho.n ke khoon se manatey hain Holiya.N,
"Sunita" Imaan se apne gir gaya hai aadmi.

"kaya yehi pyar hai" ek gazal pyar bhare ahsaao.n ke saath

Thursday, December 25, 2008

teri ankhon mein kaisi masti hai
Doobi - doobi si dil ki hasti hai.
*
Pyar se tu ne jab mujhe dekha
Mahki - mahki ye dil ki basti hai.
*
chaand se bhi lage mujhe roshan
chaandni tujh pe yun barasti hai.
*
Ik jhalak teri dekh-ne ke liye
Har ghadi ye nazar tarasti hai.
*
Jane kya ho gaya "Sunita" ko
Aaj kal woh akele hansti hai.

"Pyar Ki Intihaa"

Wednesday, September 24, 2008

Teri surat ko aanko.n mein basa rakha hai
Pariyo.n ke desh mein ghar bana rakha hai

Aakar mere pyar ki intihaa to, tu dekh zara
Teri raho.n mein palkoN ko bicha rakha hai

Tere nakash-e-kadam par sajde kiye maine
Khuda ki jaga teri tasveer ko sajja rakha hai

Tere siwa aur nahi kuch bhi chahiye mujhe
Esi liye khud ko zamane se judaa rakha hai

‘Sunita’ ki har gazal mein tera hai zikar aaye
aur tune usko abhi tak gair banaa rakha hai.

"Yaad Aaye Bahut"

Saturday, August 23, 2008

“toot kar jo hum bikhrey to gabraye bahut,
teri bahho.n ke sahaarey yaad aaye bahut,

hatheli par rakh ashq, jo tumne choom liya,
hua afsos! Ab tak yeh moti ganvaye bahut,

muskil mein kyu koi haath na thaam saka,
kahne ko to dost humne bhi banaye bahut,

jane kaya tha uski udhaas si aanko.n mein,
woh jab bhi yaad aaye hain, rulaaye bahut,

umr-e-jawani apni kyuN tanha hi beet gaye,
yeh khalish abhi tak hai dil dukhaye bahut,

mazhabi junoon mein, sarhad bana daalii,
Phir apne faisley pe haiN pachtaye bahut,

kis kis ko batauN apnii udhaasi ka sabab,
ki “Sunita” ko ek pardesi yaad aaye bahut.

"Jaan Lijiye"

“Bepanaah hai mohabat aapse jaan lijiye,
nahi hai jara bhi fareb sach maan lijiye,

yoon to har koi jatlaye hai aapse pyar,
hai kahaN saachi wafa pahchaaN lijiye,

mushkil nahi bahte dariya ka rukh modna,
sab-kuch aasaaN hai agar thaaN lijiye,

jis shajar taley paya saakoon do pal,
umr bhar ke liye uska ahsaaN lijiye,

ki hai ab talak pathro.n ki bhi pooja,
ho gai ab “Sunita” bhi be-ImaaN lijiye